Sada-e-Watan Sydney ™
sadaewatan@gmail.com

Jisay janta tha zindagi ...

mera derd kaisay janata meri baat kaisay maanta
wo tu khud fana k safer main tha usay rokna muhaal tha

kahan jaaogay mujhay chor k main pouch pouch k thak gay
wo jawab mujh ko naa deysaka wo tu khud serapa-e-sawal tha

wo jo uss k samnay aagaya wo hee roshni main naha gaya
ajb uss ki haybat-e-husn thee ajb uss ka rang-e-jamal tha

dam-e-wapsi usay kia hoaa naa wo roshni naa wo taazgi
wo sitara kaisay bikher gaya wo tu aap ..apni missaal tha

wo mila tu sadiyoon k baad bhi meray lub pe koi gila naa tha
usay meri chup ne rula dia jisay guftagoo main kamal tha

meray saath lag k wo ro dia mujhay faqt itna wo keh saka
jisya janta thaa zindagi wo sirf wehm O gumaan tha

-Zahid Fakhri

Email this page to a friend! Email this page to a friend!