Sada-e-Watan Sydney ™
sadaewatan@gmail.com
Popular Poet Rehana Qamar has arrived in Australia

Rehana Qamar

![]()

![]()
koi sunta hi nahi bol rahee hoon kab sey
koi sunta hi nahi bol
rahee hoon kab sey
tez aandhi main khari dol rahee hoon kab sey
zindagi kya hai faqat tez hawa ki khwaish
jis ko khirki ki tarha khol rahee hoon kab sey
koi milta nahi taabeer batanay wala!!
main kisi khwab main par tol rahee hoon kab sey
zindagi zehar bhara koi piyala hai Qamar~
jis main misri ki dalee ghol rahee hoon kab sey
main nay meray liyah baandhi thee naseehat jis main
iss ghatri ko Qamar~ khol rahee hoon kab sey
Poet: Rehana Qamar (USA)